Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tamiz apne mein ghair mein kya tumhein jo apna na kar sake hum

Aziz Qaisi

tamiz apne mein ghair mein kya tumhein jo apna na kar sake hum

Aziz Qaisi

MORE BYAziz Qaisi

    Interesting Fact

    Gardbaad- Magazine

    tamīz apne meñ ġhair meñ kyā tumheñ jo apnā na kar sake ham

    har ek mahfil huī gavārā tumhārī mahfil se kyā uThe ham

    sahar pashemān-e-ārzū haiñ charāġh-e-shab the so jal bujhe ham

    ḳhirāj ashkoñ ḳhūn-e-dil se jo ham ko lenā thā le chuke ham

    na sham' kāñpī na giit Duube uThe jo ham un anjuman se

    chalo bas achchhā huā ki aise kahāñ ke mahfil-faroz the ham

    na ham siyāhī na ham ujālā charāġh haiñ ashk-e-ārzū ke

    ki ham sar-dasht-e-be-karāñ haiñ sulagte rahte haiñ shaam se ham

    nazar uThāo to jhuum jaa.eñ nazar jhukāo to Dagmagā.eñ

    tumhārī nazroñ se sīkhte haiñ tarīq maut-o-hayāt ke ham

    kareñ jo shikva zabāñ kahāñ hai zabāñ meñ tāb-e-fuġhāñ kahāñ hai

    kahāñ pardes kaisī ġhurbat vatan galiyoñ meñ luT ga.e ham

    hamārī rūdād muḳhtasar hai vafā kahāñ jafā kahāñ

    ba-rañg-e-gul muskurā diye vo ba-tarz-e-shabnam bikhar ga.e ham

    'azīz-qaisī' kahāñ rahe to ki raat us but anjuman meñ

    hujūm-e-naġhma meñ zikr sun kar kisī divāne ro paḌe ham

    tamiz apne mein ghair mein kya tumhein jo apna na kar sake hum

    har ek mahfil hui gawara tumhaari mahfil se kya uThe hum

    sahar pasheman-e-arzu hain charagh-e-shab the so jal bujhe hum

    KHiraj ashkon ka KHun-e-dil se jo hum ko lena tha le chuke hum

    na sham' kanpi na git Dube uThe jo hum un ki anjuman se

    chalo bas achchha hua ki aise kahan ke mahfil-faroz the hum

    na hum siyahi na hum ujala charagh hain ashk-e-arzu ke

    ki hum sar-dasht-e-be-karan hain sulagte rahte hain sham se hum

    nazar uThao to jhum jaen nazar jhukao to Dagmagaen

    tumhaari nazron se sikhte hain tariq maut-o-hayat ke hum

    karen jo shikwa zaban kahan hai zaban mein tab-e-fughan kahan hai

    kahan ka pardes kaisi ghurbat watan ki galiyon mein luT gae hum

    hamari rudad muKHtasar hai wafa kahan ki jafa kahan ki

    ba-rang-e-gul muskura diye wo ba-tarz-e-shabnam bikhar gae hum

    'aziz-qaisi' kahan rahe to ki raat us but ki anjuman mein

    hujum-e-naghma mein zikr sun kar kisi diwane ka ro paDe hum

    Source:

    Sher-o-Hikmat (Pg. 864)

    • Author: Shahryar, Mughni, Tabassum
      • Edition: 2005
      • Publisher: Maktaba-e-Sher-O-Hikmat
      • Year of Publication: 2005
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now