zain guftar-o-tasanno se kidhar hota hai
'zain' guftār-o-tasanno' se kidhar hotā hai
dil churāne kā bhī ik ḳhaas hunar hotā hai
maan leñ sabr kā phal mīThā agar hotā hai
kab mire baḳht ke sahrā meñ shajar hotā hai
de chukī chiiz bhī kab apnī huī jaise ki dil
dard ke sahne ko maujūd jigar hotā hai
rū-ba-rū hote hī jo soz-e-nihāñ kar de 'ayāñ
har kisī aañkh meñ kab itnā hunar hotā hai
ruuh phir paikar-e-fānī se nikal jaatī hai
chehra-e-yār se inkār agar hotā hai
ye mohabbat hī kisī dil kī nazar hotī hai
ye takabbur hī kisī zehn kā shar hotā hai
toḌ hī de na tabī'at kī akaḌ tujh ko 'zain'
narm-ḳhū shaḳhs har ik dil meñ amar hotā hai
'zain' guftar-o-tasanno' se kidhar hota hai
dil churane ka bhi ek KHas hunar hota hai
man len sabr ka phal miTha agar hota hai
kab mere baKHt ke sahra mein shajar hota hai
de chuki chiz bhi kab apni hui jaise ki dil
dard ke sahne ko maujud jigar hota hai
ru-ba-ru hote hi jo soz-e-nihan kar de 'ayan
har kisi aankh mein kab itna hunar hota hai
ruh phir paikar-e-fani se nikal jati hai
chehra-e-yar se inkar agar hota hai
ye mohabbat hi kisi dil ki nazar hoti hai
ye takabbur hi kisi zehn ka shar hota hai
toD hi de na tabi'at ki akaD tujh ko 'zain'
narm-KHu shaKHs har ek dil mein amar hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.