Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

meraa kuchh saamaan tumhaare paas pa.Daa hai

Gulzar

meraa kuchh saamaan tumhaare paas pa.Daa hai

Gulzar

MORE BYGulzar

    Interesting Fact

    Film: Ijaazat Year: 1987 Singer: Asha Bhosale Music: R D Burman Actor: Rekha,Naseeruddin Shah,Anuradha Patel

    meraa kuchh saamaan tumhaare paas pa.Daa hai

    o saavan ke kuchh bhiige bhiige din rakhe hai.n

    aur mire ik KHat me.n lipTii raat pa.Dii hai

    vo raat bujhaa do meraa vo saamaan lauTaa do

    meraa kuchh saamaan

    patjha.D hai kuchh hai naa

    o patjha.D me.n kuchh patto.n ke girne kii aahaT

    kaano.n me.n ik baar pahan ke lauT aa.ii thii

    patjha.D kii vo shaaKH abhii tak kaa.np rahii hai

    vo shaaKH giraa do meraa vo saamaan lauTaa do

    ek akelii chhatrii me.n jab aadhe aadhe bhiig rahe the

    aadhe suukhe aadhe giile sukhaa to mai.n le aa.ii thii

    giilaa man shaayad bistar ke paas pa.Daa ho

    vo bhijvaa do meraa vo saamaan lauTaa do

    ek sau solah chaa.nd kii raate.n ek tumhaare kaa.ndhe kaa til

    giilii meh.ndii kii KHushbuu jhuuT-muuT ke shikve kuchh

    jhuuT-muuT ke vaa'de bhii sab yaad karaa duu.n

    sab bhijvaa do meraa vo saamaan lauTaa do

    ek ijaazat de do bas jab is ko dafnaa.uu.ngii

    mai.n bhii vahii.n so jaa.uu.ngii

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now