nirdhan kaa ghar luuTne vaalo luuT lo dil kaa pyaar

Shakeel Badayuni
MORE BYShakeel Badayuni
Interesting Fact
Film: Baiju Bawra Year: 1952 Singer: Mohammed Rafi Music: Naushad Actor: Meena Kumari,Bharat Bhushan
nirdhan kaa ghar luuTne vaalo luuT lo dil kaa pyaar
pyaar vo dhan hai jis ke aage sab dhan hai bekaar
iinsaan bano kar lo bhalaa.ii kaa ko.ii kaam
duniyaa se chale jaa.oge rah jaa.egaa bas naam
is baaG me.n suuraj bhii nikaltaa hai liye Gam
phuulo.n kii ha.nsii dekh ke ro detii hai shabnam
kuchh der kii KHushiyaa.n hai.n to kuchh der kaa maatam
kis nii.nd me.n ho jaago zaraa soch lo anjaam
insaan bano
laakho.n yahaa.n shaan apnii dikhaate hu.e aa.e
dam bhar ke liye naach ga.e dhuup me.n saa.e
vo bhuul ga.e the ki ye duniyaa hai saraa.e
aataa hai ko.ii sub.h to jaataa hai ko.ii shaam
insaan bano
kyo.n tum ne lagaa.e hai.n yahaa.n zulm ke Dere
dhan saath na jaa.egaa bane kyo.n ho luTere
piite ho Gariibo.n kaa lahuu shaam savere
KHud paap karo naam ho shaitaan kaa badnaam
insaan bano insaan bano kar lo bhalaa.ii kaa ko.ii kaam

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.