Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

pal do pal kaa saath hamaaraa

Sahir Ludhianvi

pal do pal kaa saath hamaaraa

Sahir Ludhianvi

MORE BYSahir Ludhianvi

    Interesting Fact

    Film: The Burning Train Year: 1980 Singer: Asha Bhosle,Mohammed Rafi Music: R. D. Burman Actor: Dharmendra,Vinod Khanna,Jeetendra,Hema Malini,Parveen Babi,Neetu Singh

    pal do pal kaa saath hamaaraa

    pal do pal ke yaaraane hai.n

    is manzil par milne vaale

    us manzil par kho jaane hai.n

    nazro.n ke shoKH nazraane

    ho.nTo.n ke garm paimaane

    hai.n aaj apnii mahfil me.n

    kal kyaa ho ko.ii kyaa jaane

    ye pal KHushii kii jannat hai

    is pal me.n jii le diivaane

    aaj kii KHushiyaa.n ek haqiiqat

    kal kii KHushiyaa.n afsaane hai.n

    pal do pal kaa saath hamaaraa

    har KHushii kuchh der kii mehmaan hai

    puuraa kar le dil me.n jo armaan hai

    zindagii ik tez rau tuufaan hai

    is kaa jo piichhaa kare naadaan hai

    gum-shuda KHushiyo.n pe kyo.n hairaan hai

    vaqt lauTe is kaa kab imkaan hai

    dosto apnaa to ye iimaan hai

    jo bhii jitnaa saath de ehsaan hai

    'umr kaa rishta jo.Dne vaale apnii nazar me.n diivaane hai.n

    pal do pal kaa saath hamaaraa

    pal do pal kaa saath hamaaraa

    pal do pal ke yaaraane hai.n

    is manzil par milne vaale

    us manzil par kho jaane hai.n

    nazro.n ke shoKH nazraane

    ho.nTo.n ke garm paimaane

    hai.n aaj apnii mahfil me.n

    kal kyaa ho ko.ii kyaa jaane

    ye pal KHushii kii jannat hai

    is pal me.n jii le diivaane

    aaj kii KHushiyaa.n ek haqiiqat

    kal kii KHushiyaa.n afsaane hai.n

    pal do pal kaa saath hamaaraa

    har KHushii kuchh der kii mehmaan hai

    puuraa kar le dil me.n jo armaan hai

    zindagii ik tez rau tuufaan hai

    is kaa jo piichhaa kare naadaan hai

    gum-shuda KHushiyo.n pe kyo.n hairaan hai

    vaqt lauTe is kaa kab imkaan hai

    dosto apnaa to ye iimaan hai

    jo bhii jitnaa saath de ehsaan hai

    'umr kaa rishta jo.Dne vaale apnii nazar me.n diivaane hai.n

    pal do pal kaa saath hamaaraa

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now