vafaa ke naam pe kitne gunaah hote hai.n
Interesting Fact
Film: Dhool Ka Phool Year: 1959 Singer: Mohammed Rafi Music: S. D. Burman Actor: Rajendra Kumar, Mala Sinha
vafaa ke naam pe kitne gunaah hote hai.n
ye un se puuchhe ko.ii jo tabaah hote hai.n
daaman me.n daaG lagaa baiThe
ham pyaar me.n dhoka khaa baiThe
chhoTii sii bhuul javaanii kii jo tum ko yaad na aa.egii
us bhuul ke taa'ne de de kar duniyaa ham ko ta.Dpaa.egii
uThte hii nazar jhuk jaa.egii aaj aisii Thokar khaa baiThe
ham pyaar me.n dhoka khaa baiThe
chaahat ke liye jo rasmo.n ko Thukraa ke guzarne vaale the
jo saath hii jiine vaale the aur saath hii marne vaale the
tuufaa.n ke havaale kar ke hame.n KHud duur kinaare jaa baiThe
ham pyaar me.n dhoka khaa baiThe
lo aaj mirii majbuur vafaa badnaam kahaanii ban.ne lagii
jo prem nishaanii paa.ii thii vo paap nishaanii ban.ne lagii
dukh de ke hame.n jiivan-bhar kaa vo sukh kii sej sajaa baiThe

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.