Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

git

MORE BYRafia Shabnam Abidi

    sājan tum bin niir bahā.ūñ

    pal-bhar ko bhī chain na pā.ūñ

    raat añdher bairan duniyā

    koī nahīñ dukhiyāran

    taare jaise jhūTe motī

    phīkā laage chāñd gagan

    ro.uuñ taḌpūñ aur rah jā.ūñ

    sājan tum bin niir bahā.ūñ

    phuul bane angāre prītam

    Duub ga.e haiñ taare prītam

    aashā ke jo jaal bune the

    TuuT ga.e haiñ saare prītam

    kaise man ko dhiir bañdhā.ūñ

    sājan tum bin niir bahā.ūñ

    pīpal suunā bargad suunā

    murjhāyā hai champā geñdā

    kab se hai be-rang hathelī

    suukh gayā mehñdī buuTā

    kis ke liye kañgnā khankā.ūñ

    sājan tum bin niir bahā.ūñ

    panchhī ban ban bol rahe haiñ

    vish kānoñ meñ ghol rahe haiñ

    man darpan vīrān paḌā hai

    nain ke motī rol rahe haiñ

    kyūñkar uljhī laT suljhā.ūñ

    sājan tum bin niir bahā.ūñ

    guḌ mīThā na imlī khaTTī

    phīkī phīkī khiir aur puurī

    TuuT gayā sāvan meñ jhūlā

    ThanDī holī kaalī divālī

    kab tak bārahmāsa gā.ūñ

    sājan tum bin niir bahā.ūñ

    sajan tum bin nir bahaun

    pal-bhar ko bhi chain na paun

    raat andher bairan duniya

    koi nahin dukhiyaran ka

    tare jaise jhuTe moti

    phika lage chand gagan ka

    roun taDpun aur rah jaun

    sajan tum bin nir bahaun

    phul bane angare pritam

    Dub gae hain tare pritam

    aasha ke jo jal bune the

    TuT gae hain sare pritam

    kaise man ko dhir bandhaun

    sajan tum bin nir bahaun

    pipal suna bargad suna

    murjhaya hai champa genda

    kab se hai be-rang hatheli

    sukh gaya mehndi ka buTa

    kis ke liye kangna khankaun

    sajan tum bin nir bahaun

    panchhi ban ban bol rahe hain

    wish kanon mein ghol rahe hain

    man darpan viran paDa hai

    nain ke moti rol rahe hain

    kyunkar uljhi laT suljhaun

    sajan tum bin nir bahaun

    guD miTha na imli khaTTi

    phiki phiki khir aur puri

    TuT gaya sawan mein jhula

    ThanDi holi kali diwali

    kab tak barahmasa gaun

    sajan tum bin nir bahaun

    Source:

    Shair (Pg. 39)

      • Publisher: Nazir Noman Siddiqui
      • Year of Publication: 2010
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now