Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

prit ki rit amar hai

Meeraji

prit ki rit amar hai

Meeraji

MORE BYMeeraji

    priit riit amar hai jag meñ kaise is ko na maane koī

    aañkh khulī ab miTe bahāne kaise kare bahāne koī

    miTā dhuñdalkā dil se ġham pal meñ sukh sūraj chamkā

    sukh ne phailāyā ujyālā is ko ab pahchāne koī

    priit riit amar hai jag meñ kaise is ko na maane koī

    yuuñ chamkī jīvan jyotī jaise siip meñ chamke motī

    motī jaisī sūrat le kar aaya rang rachāne koī

    priit riit amar hai jag meñ kaise is ko na maane koī

    bhuul ne prem bhed sujhāyā sub.h bhūlā shaam ko aaya

    duur manzil paas aa pahūñchī bhūlā na is ko jaane koī

    priit riit amar hai jag meñ kaise is ko na maane koī

    prit ki rit amar hai jag mein kaise is ko na mane koi

    aankh khuli ab miTe bahane kaise kare bahane koi

    miTa dhundalka dil se gham ka pal mein sukh ka suraj chamka

    sukh ne phailaya ujyala is ko ab pahchane koi

    prit ki rit amar hai jag mein kaise is ko na mane koi

    yun chamki jiwan ki jyoti jaise sip mein chamke moti

    moti jaisi surat le kar aaya rang rachane koi

    prit ki rit amar hai jag mein kaise is ko na mane koi

    bhul ne prem ka bhed sujhaya subh ka bhula sham ko aaya

    dur ki manzil pas aa pahunchi bhula na is ko jaane koi

    prit ki rit amar hai jag mein kaise is ko na mane koi

    Source:

    (Pg. 71)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now