wo gada-garan-e-jalwa sar-e-rahguzar chup the
vo gadā-garān-e-jalva sar-e-rahguzār chup the
jinheñ tujh se thiiñ umīdeñ vo umīd-vār chup the
vo qatār-e-gumrahāñ thī liye mish.aleñ ravāñ thī
vo jo manzil-āshnā the vo pas-e-ġhubār chup the
ye ajiib sāneha thā jise chashm-e-gul ne dekhā
ki tuyūr-e-dām-dīda sar-e-shāḳh-sār chup the
kise jur.at-e-tasallī ki vo baat hī thī aisī
shab-e-intizār chup thī mire ġham-gusār chup the
hameñ kam milīñ sazā.eñ ki ziyāda thiiñ ḳhatā.eñ
tire sahv kyā ginā.eñ tire sharmsār chup the
ye dil-o-nazar figārāñ yahī thī vo vaz.a-dārāñ
pas-e-kū-e-yār giryāñ sar-e-kū-e-yār chup the
huī ham pe sañg-bārī magar apnī vaz.a-dārī
ki thī 'shāz' jin se yaarī vahī apne yaar chup the
wo gada-garan-e-jalwa sar-e-rahguzar chup the
jinhen tujh se thin umiden wo umid-war chup the
wo qatar-e-gumrahan thi liye mishalen rawan thi
wo jo manzil-ashna the wo pas-e-ghubar chup the
ye ajib saneha tha jise chashm-e-gul ne dekha
ki tuyur-e-dam-dida sar-e-shaKH-sar chup the
kise jurat-e-tasalli ki wo baat hi thi aisi
shab-e-intizar chup thi mere gham-gusar chup the
hamein kam milin sazaen ki ziyaada thin KHataen
tere sahw kya ginaen tere sharmsar chup the
ye dil-o-nazar figaran yahi thi wo waza-daran
pas-e-ku-e-yar giryan sar-e-ku-e-yar chup the
hui hum pe sang-bari magar apni waza-dari
ki thi 'shaz' jin se yari wahi apne yar chup the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.