Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHwab nadim hain ki tabir dikhane se gae

Shaz Tamkanat

KHwab nadim hain ki tabir dikhane se gae

Shaz Tamkanat

MORE BYShaz Tamkanat

    ḳhvāb nādim haiñ ki ta.abīr dikhāne se ga.e

    saa.e saa.e mirī nīñdoñ ke sirhāne se ga.e

    yuuñ bhī vo dil ho ki dirham pe khulā rahtā hai

    apnī ik vaz-e-junūñ thī ki bahāne se ga.e

    raakh alaav ye bikhrī huī jañgal ye shaam

    kyā zamāne ga.e kyā log zamāne se ga.e

    koī tasvīr sar-e-āb uThātā hai bhalā

    ab hameñ DhūñDhte kyā ho ki uThāne se ga.e

    'shāz-jī' ishq meñ aisā huā kartā hai

    tum hue qais hue donoñ Thikāne se ga.e

    KHwab nadim hain ki tabir dikhane se gae

    sae sae meri nindon ke sirhane se gae

    yun bhi wo dil ho ki dirham pe khula rahta hai

    apni ek waz-e-junun thi ki bahane se gae

    rakh alaw ki ye bikhri hui jangal ki ye sham

    kya zamane gae kya log zamane se gae

    koi taswir sar-e-ab uThata hai bhala

    ab hamein DhunDhte kya ho ki uThane se gae

    'shaz-ji' ishq mein aisa hi hua karta hai

    tum hue qais hue donon Thikane se gae

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now