aa gaya hum ko nazar kal ek chehra baam par
aa gayā ham ko nazar kal ek chehra baam par
yuuñ lagā markūz hai go saarī duniyā baam par
us kī aahaT kī ḳhabar se dauḌ kar aane lage
chāñd taare raat jugnū aur dariyā baam par
tum abhī ādāb-e-ulfat se miyāñ vāqif nahīñ
tum ne sīkhā hī nahīñ ādāb karnā baam par
avval avval to falak bhī apnī dhun meñ mahv thā
aur phir ik shab ko us ne paañv rakkhā baam par
'ishq kī zid ne jalā.e kohsāroñ ke badan
hazrat-e-mūsā ne chāhā ek jalva baam par
aa gaya hum ko nazar kal ek chehra baam par
yun laga markuz hai go sari duniya baam par
us ki aahaT ki KHabar se dauD kar aane lage
chand tare raat jugnu aur dariya baam par
tum abhi aadab-e-ulfat se miyan waqif nahin
tum ne sikha hi nahin aadab karna baam par
awwal awwal to falak bhi apni dhun mein mahw tha
aur phir ek shab ko us ne panw rakkha baam par
'ishq ki zid ne jalae kohsaron ke badan
hazrat-e-musa ne chaha ek jalwa baam par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.