aab ki tasir mein hun pyas ki shiddat mein hun
aab ki tasir mein hun pyas ki shiddat mein hun
Bharat Bhushan Pant
MORE BYBharat Bhushan Pant
aab kī tāsīr meñ huuñ pyaas kī shiddat meñ huuñ
abr kā saaya huuñ lekin dasht kī vus.at meñ huuñ
yuuñ to apnā lag rahā hai jism kā ye ghar mujhe
ruuh lekin kah rahī hai dekh maiñ ġhurbat meñ huuñ
aur to apnī ḳhabar hai sab mujhe is ke sivā
kaun huuñ kyuuñ huuñ kahāñ huuñ aur kis hālat meñ huuñ
yaad bhī aatā nahīñ kuchh bhūltā bhī kuchh nahīñ
yā bahut masrūf huuñ maiñ yā bahut fursat meñ huuñ
maiñ huā bedār to har shaḳhs ye kahne lagā
niiñd meñ huuñ ḳhvāb meñ huuñ yā kisī ġhaflat meñ huuñ
zindagī ne kyā diyā thā maut ne kyā le liyā
ḳhaak se paidā huā thā ḳhaak kī sohbat meñ huuñ
aab ki tasir mein hun pyas ki shiddat mein hun
abr ka saya hun lekin dasht ki wusat mein hun
yun to apna lag raha hai jism ka ye ghar mujhe
ruh lekin kah rahi hai dekh main ghurbat mein hun
aur to apni KHabar hai sab mujhe is ke siwa
kaun hun kyun hun kahan hun aur kis haalat mein hun
yaad bhi aata nahin kuchh bhulta bhi kuchh nahin
ya bahut masruf hun main ya bahut fursat mein hun
main hua bedar to har shaKHs ye kahne laga
nind mein hun KHwab mein hun ya kisi ghaflat mein hun
zindagi ne kya diya tha maut ne kya le liya
KHak se paida hua tha KHak ki sohbat mein hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.