aabaad main rahunga ujaDne ke baad bhi
ābād maiñ rahūñgā ujaḌne ke baa'd bhī
tum se milūñgā mil ke bichhaḌne ke baa'd bhī
kuchh but na.e zarūr tarāshe ga.e magar
maiñ kyā kisī se kam huuñ bigaḌne ke baa'd bhī
tum se kabhī kahā hai ki tum sirf merī ho
maiñ ne tumhārā haath pakaḌne ke baa'd bhī
itnī sī baat par bhī koī chhoḌtā hai ghar
duniyā meñ huuñ maiñ duniyā se laḌne ke baa'd bhī
maiñ saath de rahā huuñ ye ehsān hai mirā
tum se ta'alluqāt bigaḌne ke baa'd bhī
rangat pe us kī bhārī haiñ ruḳhsār aap ke
makkhan meñ zā'frān ke paḌne ke baa'd bhī
aabaad main rahunga ujaDne ke ba'd bhi
tum se milunga mil ke bichhaDne ke ba'd bhi
kuchh but nae zarur tarashe gae magar
main kya kisi se kam hun bigaDne ke ba'd bhi
tum se kabhi kaha hai ki tum sirf meri ho
main ne tumhaara hath pakaDne ke ba'd bhi
itni si baat par bhi koi chhoDta hai ghar
duniya mein hun main duniya se laDne ke ba'd bhi
main sath de raha hun ye ehsan hai mera
tum se ta'alluqat bigaDne ke ba'd bhi
rangat pe us ki bhaari hain ruKHsar aap ke
makkhan mein za'fran ke paDne ke ba'd bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.