Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aabla-pai ka nasha na gaya

Fahmi Badayuni

aabla-pai ka nasha na gaya

Fahmi Badayuni

MORE BYFahmi Badayuni

    ābla-pā.ī nasha na gayā

    ham se sab tarah chalā na gayā

    ġham to ye hai tirī sadā par bhī

    maiñ kabhī dauḌtā huā na gayā

    tum ne āzād kar diyā jis ko

    us parinde se phir uḌā na gayā

    ashk dete rahe ḳhatoñ javāb

    nāma-bar se magar likhā na gayā

    vo jo ḳhāmoshiyoñ ne likkhā thā

    vo fasāna kabhī kahā na gayā

    ik farishta bulā rahā thā mujhe

    terī dahlīz se uThā na gayā

    rasm vo bhī hamīñ ne puurī

    tum se barbād bhī kiyā na gayā

    aabla-pai ka nasha na gaya

    hum se sab ki tarah chala na gaya

    gham to ye hai teri sada par bhi

    main kabhi dauDta hua na gaya

    tum ne aazad kar diya jis ko

    us parinde se phir uDa na gaya

    ashk dete rahe KHaton ka jawab

    nama-bar se magar likha na gaya

    wo jo KHamoshiyon ne likkha tha

    wo fasana kabhi kaha na gaya

    ek farishta bula raha tha mujhe

    teri dahliz se uTha na gaya

    rasm wo bhi hamin ne puri ki

    tum se barbaad bhi kiya na gaya

    Source :
    • Book : Hijr Ki Dusri Dawa (Pg. 94)
    • Author : Fahmi Badayuni
    • Publication : Rekhta Publications (2022)
    • Edition : First
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now