aadat-e-shab-bedari baDhti jati hai
'ādat-e-shab-bedārī baḌhtī jaatī hai
jab se girya-o-zārī baḌhtī jaatī hai
ziist meñ jab se dar aa.ī hai ik tartīb
saañs kī nā-hamvārī baḌhtī jaatī hai
us kī anā bhī kam nahīñ hotī pal-bhar ko
merī bhī bīmārī baḌhtī jaatī hai
jis ko ḳhabar hai us ko nahīñ hai koī ġharaz
kyoñ merī mai-ḳhvārī baḌhtī jaatī hai
hālat ye hai mail nahīñ kuchh donoñ meñ
sūrat ye hai yaarī baḌhtī jaatī hai
pahle jo nā-mumkin thā mumkin hai ab
merī to dushvārī baḌhtī jaatī hai
'adat-e-shab-bedari baDhti jati hai
jab se girya-o-zari baDhti jati hai
zist mein jab se dar aai hai ek tartib
sans ki na-hamwari baDhti jati hai
us ki ana bhi kam nahin hoti pal-bhar ko
meri bhi bimari baDhti jati hai
jis ko KHabar hai us ko nahin hai koi gharaz
kyon meri mai-KHwari baDhti jati hai
haalat ye hai mail nahin kuchh donon mein
surat ye hai yari baDhti jati hai
pahle jo na-mumkin tha mumkin hai ab
meri to dushwari baDhti jati hai
- Book : Akelepan Ki Intiha (Pg. 99)
- Author :Jamal Ehsani
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.