aadmi ko KHak ne paida kiya
aadmī ko ḳhaak ne paidā kiyā
ḳhaak ke saath aadmī ne kyā kiyā
rahm ke qābil nahīñ thā aadmī
āsmāñ ne jo kiyā thoḌā kiyā
soch luuñ kyā sochnā hai kyā nahīñ
sochne vaalā yahī sochā kiyā
ek duniyā mujh se thī rūThī huī
tū ne bhī Thukrā diyā achchhā kiyā
kaun thā mere sivā.e sahn meñ
vo mujhe chhup chhup ke kyuuñ dekhā kiyā
pahle sab se mashvarat kī baiTh kar
aur us ke baa'd jo chāhā kiyā
vo bahut sīdhā sahī lekin 'sha'ūr'
mere saath us ne baḌā dhokā kiyā
aadmi ko KHak ne paida kiya
KHak ke sath aadmi ne kya kiya
rahm ke qabil nahin tha aadmi
aasman ne jo kiya thoDa kiya
soch lun kya sochna hai kya nahin
sochne wala yahi socha kiya
ek duniya mujh se thi ruThi hui
tu ne bhi Thukra diya achchha kiya
kaun tha mere siwae sahn mein
wo mujhe chhup chhup ke kyun dekha kiya
pahle sab se mashwarat ki baiTh kar
aur us ke ba'd jo chaha kiya
wo bahut sidha sahi lekin 'sha'ur'
mere sath us ne baDa dhoka kiya
- Book : Ab Main Aksar Main Nahi Rehta (Pg. 28)
- Author : Anwar Shaoor
- Publication : Rekhta Publications (2024)
- Edition : 3rd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.