Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aag ashk-e-garm ko lage ji kya hi jal gaya

Momin Khan Momin

aag ashk-e-garm ko lage ji kya hi jal gaya

Momin Khan Momin

MORE BYMomin Khan Momin

  aag ashk-e-garm ko lage kyā jal gayā

  aañsū chū us ne poñchhe shab aur haath phal gayā

  phoḌā thā dil na thā ye mue par ḳhalal gayā

  jab Thes saañs lagī dam nikal gayā

  kyā ro.uuñ ḳhīra-chashmī-e-baḳht-e-siyāh ko

  vaañ shaġhl-e-surma hai abhī yaañ sail Dhal gayā

  mujh ko haath malne ta.alīm varna kyuuñ

  ġhairoñ ko aage bazm meñ vo itr mal gayā

  us kūche havā thī ki merī aah thī

  koī to dil aag pe pankhā jhal gayā

  joñ ḳhuftagān-e-ḳhāk hai apnī fatādgī

  aayā jo zalzala kabhī karvaT badal gayā

  us naqsh-e-pā ke sajde ne kyā kyā kiyā zalīl

  maiñ kūcha-e-raqīb meñ bhī sar ke bal gayā

  kuchh girā paḌe thā par ab ne naaz se

  mujh ko girā diyā to mirā sañbhal gayā

  mil jaa.e gar ye ḳhaak meñ us ne vahāñ ḳhaak

  gul thī kyuuñ ki paañv vo nāzuk phisal gayā

  but-ḳhāne se na ka.abe ko taklīf de mujhe

  'momin' bas ab muaaf ki yaañ bahal gayā

  aag ashk-e-garm ko lage ji kya hi jal gaya

  aansu chu us ne ponchhe shab aur hath phal gaya

  phoDa tha dil na tha ye mue par KHalal gaya

  jab Thes sans ki lagi dam hi nikal gaya

  kya roun KHira-chashmi-e-baKHt-e-siyah ko

  wan shaghl-e-surma hai abhi yan sail Dhal gaya

  ki mujh ko hath malne ki talim warna kyun

  ghairon ko aage bazm mein wo itr mal gaya

  us kuche ki hawa thi ki meri hi aah thi

  koi to dil ki aag pe pankha sa jhal gaya

  jon KHuftagan-e-KHak hai apni fatadgi

  aaya jo zalzala kabhi karwaT badal gaya

  us naqsh-e-pa ke sajde ne kya kya kiya zalil

  main kucha-e-raqib mein bhi sar ke bal gaya

  kuchh ji gira paDe tha par ab tu ne naz se

  mujh ko gira diya to mera ji sanbhal gaya

  mil jae gar ye KHak mein us ne wahan ki KHak

  gul ki thi kyun ki panw wo nazuk phisal gaya

  but-KHane se na kabe ko taklif de mujhe

  'momin' bas ab muaf ki yan ji bahal gaya

  ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

  ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

  મધ્યકાલથી લઈ સાંપ્રત સમય સુધીની ચૂંટેલી કવિતાનો ખજાનો હવે છે માત્ર એક ક્લિક પર. સાથે સાથે સાહિત્યિક વીડિયો અને શબ્દકોશની સગવડ પણ છે. સંતસાહિત્ય, ડાયસ્પોરા સાહિત્ય, પ્રતિબદ્ધ સાહિત્ય અને ગુજરાતના અનેક ઐતિહાસિક પુસ્તકાલયોના દુર્લભ પુસ્તકો પણ તમે રેખ્તા ગુજરાતી પર વાંચી શકશો

  0
  COMMENTS
  VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

  Additional information available

  Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

  OKAY

  About this sher

  Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

  Close

  rare Unpublished content

  This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

  OKAY

  Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

  GET YOUR PASS
  Speak Now