aag bhaDki kahan thi kidhar lag gai
aag bhaḌkī kahāñ thī kidhar lag ga.ī
thī ḳhatā kis kī aur kis ke sar lag ga.ī
dil dhaḌakne lagā muskurāte hue
merī ḳhushiyoñ ko kis kī nazar lag ga.ī
is chaman ke muqaddar meñ hī aag hai
aaj idhar lag ga.ī kal udhar lag ga.ī
baat to aap ke aur mire biich thī
phir zamāne ko kaise ḳhabar lag ga.ī
aap ab jo bhī chāheñ vo unvān deñ
merī tasvīr dīvār par lag ga.ī
mere dāman pe chashm-e-karam ai ḳhudā
maiñ musāfir thā gard-e-safar lag ga.ī
aag to aag hai aag kī baat kyā
laakh dāman bachāyā magar lag ga.ī
jeb-o-dāman se mahrūm ho jāoge
choT agar mere ehsās par lag ga.ī
ai 'azīz' un ko ehsās hotā nahīñ
aur mirī zindagī daao par lag ga.ī
aag bhaDki kahan thi kidhar lag gai
thi KHata kis ki aur kis ke sar lag gai
dil dhaDakne laga muskuraate hue
meri KHushiyon ko kis ki nazar lag gai
is chaman ke muqaddar mein hi aag hai
aaj idhar lag gai kal udhar lag gai
baat to aap ke aur mere bich thi
phir zamane ko kaise KHabar lag gai
aap ab jo bhi chahen wo unwan den
meri taswir diwar par lag gai
mere daman pe chashm-e-karam ai KHuda
main musafir tha gard-e-safar lag gai
aag to aag hai aag ki baat kya
lakh daman bachaya magar lag gai
jeb-o-daman se mahrum ho jaoge
choT agar mere ehsas par lag gai
ai 'aziz' un ko ehsas hota nahin
aur meri zindagi dao par lag gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.