Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aag laga di pahle gulon ne bagh mein wo shadabi ki

Agha Hajju Sharaf

aag laga di pahle gulon ne bagh mein wo shadabi ki

Agha Hajju Sharaf

MORE BYAgha Hajju Sharaf

    aag lagā pahle guloñ ne baaġh meñ vo shādābī

    aa.ī ḳhizāñ gulzār meñ jab gul-barg se gulḳhan-tābī

    kunj-e-lahad meñ mujh ko sulā ke pūchhte haiñ vo logoñ se

    niiñd unheñ ab aa ga.ī kyūñ-kar kyā huī jo bad-ḳhvābī

    soch meñ haiñ kuchh paas nahīñ kis tarah adam tak pahuñcheñge

    aa ke safar darpesh huā hai fikr hai be-asbābī

    abr hai giryāñ kis ke liye malbūs siyah hai kyuuñ is

    sog-nashīñ kis hai falak kyā vaj.h abā-e-ābī

    zer-e-mahal us shoḳh ke ke paañv jo ham ne phailā.e

    sharm-o-hayā ne uThne na chilman jo chhuTī mahtābī

    dil Thikānā kyā maiñ batā.ūñ haal na is kuchh pūchho

    duur karo hogā vo kahīñ galiyoñ meñ aur sa.ī har baabī

    dil na huā pahle jo bismil loTne se kyā matlab thā

    dhuum thī jab ḳhush-bāshiyoñ ab shohrat hai betābī

    sham.oñ āḳhir haal ye pahuñchā sabr paḌā parvānoñ

    kavve uThā ke le ga.e din ko paa.ī sazā sartābī

    ġhunche ḳhajil haiñ zikr se us ke tañg dahan hai aisā us

    naam huā unaqā-e-zamāna dhuum uḌī nāyābī

    bajre lagā.e logoñ ne ke un ke barāmad hone ko

    ashkoñ ne mere rāh-e-vafā meñ aaj to vo sailābī

    ḳhat nahīñ paḌtā mere gale par tishna-e-hasrat martā huuñ

    teġh tirī be-āb huī thiiñ ārzūeñ ḳhush-ābī

    rahm hai lāzim tujh ko bhī gulchīñ dil na dukhā bulbul

    nik.hat-e-gul ne us se kashish taab na thī betābī

    naza.a meñ yā-rab ḳhanda-jabīñ huuñ ruuh jo nikle ḳhush nikle

    pesh-e-nazar aa.eñ jo farishte sūrat ho ārābī

    kalġhī par taaj meñ rakh le zauq rahe pā-bosī

    paa.e agar bilqīs kahīñ tasvīr tirī gurgābī

    paḌh ke vazīfa ishq us ke tum jo taḌap ke rote ho

    ruuh na ho tahlīl 'sharaf' hasrat se kisī vahābī

    aag laga di pahle gulon ne bagh mein wo shadabi ki

    aai KHizan gulzar mein jab gul-barg se gulKHan-tabi ki

    kunj-e-lahad mein mujh ko sula ke puchhte hain wo logon se

    nind unhen ab aa gai kyun-kar kya hui jo bad-KHwabi ki

    soch mein hain kuchh pas nahin kis tarah adam tak pahunchenge

    aa ke safar darpesh hua hai fikr hai be-asbabi ki

    abr hai giryan kis ke liye malbus siyah hai kyun is ka

    sog-nashin kis ka hai falak kya wajh aba-e-abi ki

    zer-e-mahal us shoKH ke ja ke panw jo hum ne phailae

    sharm-o-haya ne uThne na di chilman jo chhuTi mahtabi ki

    dil ka Thikana kya main bataun haal na is ka kuchh puchho

    dur karo hoga wo kahin galiyon mein aur sai har babi ki

    dil na hua pahle jo bismil loTne se kya matlab tha

    dhum thi jab KHush-bashiyon ki ab shohrat hai betabi ki

    shamon ka aaKHir haal ye pahuncha sabr paDa parwanon ka

    kawwe uTha ke le gae din ko pai saza sartabi ki

    ghunche KHajil hain zikr se us ke tang dahan hai aisa us ka

    nam hua unaqa-e-zamana dhum uDi nayabi ki

    bajre lagae logon ne la ke un ke baramad hone ko

    ashkon ne mere rah-e-wafa mein aaj to wo sailabi ki

    KHat nahin paDta mere gale par tishna-e-hasrat marta hun

    tegh teri be-ab hui thin aarzuen KHush-abi ki

    rahm hai lazim tujh ko bhi gulchin dil na dukha tu bulbul ka

    nikhat-e-gul ne us se kashish ki tab na thi betabi ki

    naza mein ya-rab KHanda-jabin hun ruh jo nikle KHush nikle

    pesh-e-nazar aaen jo farishte surat ho aarabi ki

    kalghi ki ja par taj mein rakh le zauq rahe pa-bosi ka

    pae agar bilqis kahin taswir teri gurgabi ki

    paDh ke wazifa ishq ka us ke tum jo taDap ke rote ho

    ruh na ho tahlil 'sharaf' hasrat se kisi wahabi ki

    Source:

    Deewan-e-Sharf(Rekhta Website) (Pg. 227)

    • Author: Agha Hajju Sharaf
      • Publisher: Matba Jafari, Luckhnow
      • Year of Publication: 1875
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now