aaghaz-e-mohabbat mein anjam se Darti hun

aaghaz-e-mohabbat mein anjam se Darti hun
Sarahat Ahmad Sarahat
MORE BYSarahat Ahmad Sarahat
āġhāz-e-mohabbat meñ anjām se Dartī huuñ
anjām-e-mohabbat ke kohrām se Dartī huuñ
ristā hai lahū kyūñkar safhoñ se tire ḳhat ke
jo bhī ho ma'ānī ab paiġhām se Dartī huuñ
jo apnā banā kar bhī ehsān jatātā hai
us ġhair ke altāf-o-ikrām se Dartī huuñ
girya hī manātī huuñ pal bhar jo mayassar ho
miltī hai farāġhat to ārām se Dartī huuñ
sāhil se utar jaa.e kashtī to mirī lekin
andesha-e-tūfāñ ke hangām se Dartī huuñ
aaghaz-e-mohabbat mein anjam se Darti hun
anjam-e-mohabbat ke kohram se Darti hun
rista hai lahu kyunkar safhon se tere KHat ke
jo bhi ho ma'ani ab paigham se Darti hun
jo apna bana kar bhi ehsan jatata hai
us ghair ke altaf-o-ikram se Darti hun
girya hi manati hun pal bhar jo mayassar ho
milti hai faraghat to aaram se Darti hun
sahil se utar jae kashti to meri lekin
andesha-e-tufan ke hangam se Darti hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.