Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aah ko thi jo kabhi hasrat-e-tasir so hai

Jaleel Qidwai

aah ko thi jo kabhi hasrat-e-tasir so hai

Jaleel Qidwai

MORE BYJaleel Qidwai

    aah ko thī jo kabhī hasrat-e-tāsīr so hai

    thī jo bigḌī huī ushshāq taqdīr so hai

    dil meñ us ke na huī raah kisī sūrat se

    thī jo taqdīr meñ nākāmī-e-tadbīr so hai

    mil ke dekhā to vo kuchh aur niklā lekin

    dil meñ ik us banā.ī thī jo tasvīr so hai

    aap ke zulm se pahle bhī ḳhudā shāhid hai

    yuuñ rahtī thī tabī.at mirī dil-gīr so hai

    shahr-e-ulfat tabāhī nishānī ai dost

    dil thī ek ujḌī huī ta.amīr so hai

    un se kartā huuñ vafā is pe jo chāheñ so kaheñ

    thī hamesha se yahī ik mirī taqsīr so hai

    thā kabhī pahle na āzād na ab huuñ maiñ 'jalīl'

    ishq thī jo mire pair meñ zanjīr so hai

    aah ko thi jo kabhi hasrat-e-tasir so hai

    thi jo bigDi hui ushshaq ki taqdir so hai

    dil mein us ke na hui rah kisi surat se

    thi jo taqdir mein nakaami-e-tadbir so hai

    mil ke dekha to wo kuchh aur hi nikla lekin

    dil mein ek us ki banai thi jo taswir so hai

    aap ke zulm se pahle bhi KHuda shahid hai

    yun hi rahti thi tabiat meri dil-gir so hai

    shahr-e-ulfat ki tabahi ki nishani ai dost

    dil ki thi ek hi ujDi hui tamir so hai

    un se karta hun wafa is pe jo chahen so kahen

    thi hamesha se yahi ek meri taqsir so hai

    tha kabhi pahle na aazad na ab hun main 'jalil'

    ishq ki thi jo mere pair mein zanjir so hai

    Source:

    Nawa-e-Seena Taab (Pg. 52)

    • Author: Jaleel Qidwai
      • Publisher: Nazir Printing Press, Karachi
      • Year of Publication: 1951
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now