aahani rauzan se dar aati hai raat
āhanī rauzan se dar aatī hai raat
aur mire piñjre meñ gahrātī hai raat
ḳhvāb meñ din bhar bahut uḌtā huuñ maiñ
phir paroñ ke gird mañDrātī hai raat
ek ḳhāna-ḳhvāh ik ḳhāna-ba-dosh
us meñ maiñ aur mujh meñ rah jaatī hai raat
mujh pe us kā rizq bantā hai zarūr
dil pe mere nosh farmātī hai raat
kis tarah ik maah khā jaatā hai din
kis tarah ik mehr khā jaatī hai raat
aap mujh ko chhoḌ kar mat jā.iye
aap jaate haiñ to aa jaatī hai raat
aahani rauzan se dar aati hai raat
aur mere pinjre mein gahraati hai raat
KHwab mein din bhar bahut uDta hun main
phir paron ke gird manDraati hai raat
ek KHana-KHwah ek KHana-ba-dosh
us mein main aur mujh mein rah jati hai raat
mujh pe us ka rizq banta hai zarur
dil pe mere nosh farmati hai raat
kis tarah ek mah kha jata hai din
kis tarah ek mehr kha jati hai raat
aap mujh ko chhoD kar mat jaiye
aap jate hain to aa jati hai raat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.