aahaTen aa rahi hain sine se
āhaTeñ aa rahī haiñ siine se
ab maraz baḌh gayā qarīne se
ḳhatm hotā hai ab samundar bhī
ab utar jā.iye safīne se
ab sarāpā nashe meñ rahte haiñ
ham ko rokā gayā thā piine se
ham ma'ānī talāsh karte haiñ
un ko matlab hai sirf jiine se
jis meñ ham par bahār aa.ī thī
ab bhī Darte haiñ us mahīne se
us ne itnā kured kar dekhā
ham chamakne lage nagīne se
apne vaqtoñ meñ gum-shuda the ham
ham ko DhūñDhā gayā dafīne se
aahaTen aa rahi hain sine se
ab maraz baDh gaya qarine se
KHatm hota hai ab samundar bhi
ab utar jaiye safine se
ab sarapa nashe mein rahte hain
hum ko roka gaya tha pine se
hum ma'ani talash karte hain
un ko matlab hai sirf jine se
jis mein hum par bahaar aai thi
ab bhi Darte hain us mahine se
us ne itna kured kar dekha
hum chamakne lage nagine se
apne waqton mein gum-shuda the hum
hum ko DhunDha gaya dafine se
- Book : Raushni Jaari Karo (Pg. 39)
- Author : maniish shuklaa
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.