Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aaina pyar ka ek aks tera mange hai

Niyaz Husain Lakhwera

aaina pyar ka ek aks tera mange hai

Niyaz Husain Lakhwera

MORE BYNiyaz Husain Lakhwera

    aa.ina pyaar ik aks tirā māñge hai

    dil bhare shahr meñ bas terī sadā māñge hai

    jism ḳhud-sar hai ki har dard sahe jaatā hai

    aisā ziddī hai ki jiine sazā māñge hai

    raat Dhal jaa.e to hāthoñ lakīreñ jāgeñ

    be-sukūñ zehn hamesha ye duā māñge hai

    ḳhush badan ho to zarā ḳhud ko bachā kar rakkho

    mausam-e-zard koī peḌ harā māñge hai

    maiñ ḳhud ko kisī maqtal meñ sajā kar rakh duuñ

    tez āñdhī koī nanhā diyā māñge hai

    kaun hai jo ki sarāboñ se ulajhnā chāhe

    kaun hai jo ki mire ghar pata māñge hai

    parvarish jis meñ gul-e-tāza hotī hai 'niyāz'

    pyaar phuul vahī āb-o-havā māñge hai

    aaina pyar ka ek aks tera mange hai

    dil bhare shahr mein bas teri sada mange hai

    jism KHud-sar hai ki har dard sahe jata hai

    aisa ziddi hai ki jine ki saza mange hai

    raat Dhal jae to hathon ki lakiren jagen

    be-sukun zehn hamesha ye dua mange hai

    KHush badan ho to zara KHud ko bacha kar rakkho

    mausam-e-zard koi peD hara mange hai

    main hi KHud ko kisi maqtal mein saja kar rakh dun

    tez aandhi koi nanha sa diya mange hai

    kaun hai jo ki sarabon se ulajhna chahe

    kaun hai jo ki mere ghar ka pata mange hai

    parwarish jis mein gul-e-taza ki hoti hai 'niyaz'

    pyar ka phul wahi aab-o-hawa mange hai

    Source:

    Abr, Hawa aur Barish (Pg. 38)

    • Author: Niyaz Hussain Lakhvira
      • Edition: 1988
      • Publisher: Mavaraa Publications
      • Year of Publication: 1988
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now