aaj gulshan mein kis ka partaw hai
aaj gulshan meñ kis kā partav hai
har kalī gul kī sham.a kī lau hai
ḳhizr har-chand pahuñche āb-e-hayāt
zindagī jaise paanī kī rau hai
piise hai us ko āsiyā-e-falak
jis ke paas ek musht bhī jau hai
ġhair se lenā imtihān-e-vafā
ye jafā mujh par az-sar-e-nau hai
hai kidhar vo ġhazāl jis ke liye
raat din mujh ko ye tag-o-dau hai
hai ye 'joshish' vafā-sarishtoñ meñ
tū jo kahtā hai bevafā tū hai
aaj gulshan mein kis ka partaw hai
har kali gul ki shama ki lau hai
KHizr har-chand pahunche aab-e-hayat
zindagi jaise pani ki rau hai
pise hai us ko aasiya-e-falak
jis ke pas ek musht bhi jau hai
ghair se lena imtihan-e-wafa
ye jafa mujh par az-sar-e-nau hai
hai kidhar wo ghazal jis ke liye
raat din mujh ko ye tag-o-dau hai
hai ye 'joshish' wafa-sarishton mein
tu jo kahta hai bewafa tu hai
- Deewan-e-Joshish(Rekhta Website)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.