aaj to ghar mein koi nahin hai aaj to khul ke ro lenge
aaj to ghar meñ koī nahīñ hai aaj to khul ke ro leñge
ro ro kar thak jā.eñge to pal do pal ko so leñge
kab tak ham mash.hūr raheñge nek-atvār-o-nek-ḳhisāl
kab tak ye dīvār-o-dar bhī āḳhir bhed na kholeñge
har dīvār girā deñge gar apnī jaan meñ jaan rahī
haath aur pair salāmat haiñ to saare patthar Dho leñge
khetoñ se bādal tak ik barsāt kā fāsla haa.il hai
yā'nī jab tak fasl kaTegī ham to būḌhe ho leñge
rūkhī-sūkhī khā lete haiñ is ummīd ke saath 'jamāl'
bārish ho jaa.e to ham bhī apnī roTī bhigo leñge
aaj to ghar mein koi nahin hai aaj to khul ke ro lenge
ro ro kar thak jaenge to pal do pal ko so lenge
kab tak hum mashhur rahenge nek-atwar-o-nek-KHisal
kab tak ye diwar-o-dar bhi aaKHir bhed na kholenge
har diwar gira denge gar apni jaan mein jaan rahi
hath aur pair salamat hain to sare patthar Dho lenge
kheton se baadal tak ek barsat ka fasla hail hai
ya'ni jab tak fasl kaTegi hum to buDhe ho lenge
rukhi-sukhi kha lete hain is ummid ke sath 'jamal'
barish ho jae to hum bhi apni roTi bhigo lenge
- Book : Akelepan Ki Intiha (Pg. 71)
- Author : Jamal Ehsani
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.