Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aalam-e-wahshat-e-tanhai hai kuchh aur nahin

Anjum Azmi

aalam-e-wahshat-e-tanhai hai kuchh aur nahin

Anjum Azmi

MORE BYAnjum Azmi

    ālam-e-vahshat-e-tanhā.ī hai kuchh aur nahīñ

    sar pe ik gumbad-e-mīnā.ī hai kuchh aur nahīñ

    kyuuñ huā mujh ko ināyat nazar saudā

    aaj rusvā.ī rusvā.ī hai kuchh aur nahīñ

    apnā ghar phūñk chukā apnā vatan chhoḌ chukā

    ye faqat bādiya-paimā.ī hai kuchh aur nahīñ

    ho sake to koī fardā banā lo tasvīr

    vaqt jalvoñ tamannā.ī hai kuchh aur nahīñ

    aao ḳhush ho ke piyo kuchh na kaho vaa.iz ko

    mai-kade meñ vo tamāshā.ī hai kuchh aur nahīñ

    aalam-e-wahshat-e-tanhai hai kuchh aur nahin

    sar pe ek gumbad-e-minai hai kuchh aur nahin

    kyun hua mujh ko inayat ki nazar ka sauda

    aaj ruswai hi ruswai hai kuchh aur nahin

    apna ghar phunk chuka apna watan chhoD chuka

    ye faqat baadiya-paimai hai kuchh aur nahin

    ho sake to koi farda ki bana lo taswir

    waqt jalwon ka tamannai hai kuchh aur nahin

    aao KHush ho ke piyo kuchh na kaho waiz ko

    mai-kade mein wo tamashai hai kuchh aur nahin

    Source:

    Lahu Ke Charagh (Pg. 107)

    • Author: Anjum Azmi
      • Edition: 1961
      • Publisher: Karachi Art Academy, Karachi
      • Year of Publication: 1961
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now