aalam hai be-KHudi ka mai ki dukan par hain
'ālam hai be-ḳhudī kā mai kī dukān par haiñ
saaqī pe haiñ nigāheñ hosh āsmān par haiñ
dil apnī zid pe qaa.im vo apnī aan par haiñ
jitnī musībateñ haiñ sab merī jaan par haiñ
duniyā badal ga.ī hai vo haiñ hamīñ ki ab tak
apne maqām par haiñ apne makān par haiñ
ye sūrateñ tumhārī ye naaz ye adā.eñ
qurbān ai buto ham ḳhāliq kī shaan par haiñ
shukr-e-ḳhudā ki un ke qadmoñ pe sar hai apnā
is vaqt kuchh na pūchho ham āsmān par haiñ
ab tak samajh rahe haiñ dil meñ mujhe musalmāñ
qaa.im hunūz ye but apne gumān par haiñ
uslūb-e-nazm-e-'akbar' fitrat se hai qarīñ-tar
alfāz haiñ mahal par mā'nī makān par haiñ
'alam hai be-KHudi ka mai ki dukan par hain
saqi pe hain nigahen hosh aasman par hain
dil apni zid pe qaim wo apni aan par hain
jitni musibaten hain sab meri jaan par hain
duniya badal gai hai wo hain hamin ki ab tak
apne maqam par hain apne makan par hain
ye suraten tumhaari ye naz ye adaen
qurban ai buto hum KHaliq ki shan par hain
shukr-e-KHuda ki un ke qadmon pe sar hai apna
is waqt kuchh na puchho hum aasman par hain
ab tak samajh rahe hain dil mein mujhe musalman
qaim hunuz ye but apne guman par hain
uslub-e-nazm-e-'akbar' fitrat se hai qarin-tar
alfaz hain mahal par ma'ni makan par hain
- Book : ہنگامہ ہے کیوں برپا (Pg. 75)
- Author : اکبر الہ آبادی
- Publication : ریختہ بکس (2023)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.