Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aandhi ki zad mein sham-e-tamanna jalai jae

Shahryar

aandhi ki zad mein sham-e-tamanna jalai jae

Shahryar

MORE BYShahryar

    āñdhī zad meñ sham-e-tamannā jalā.ī jaa.e

    jis tarah bhī ho laaj junūñ bachā.ī jaa.e

    be-āb o be-giyāh hai ye dil dasht bhī

    ik nahr āñsuoñ yahāñ bhī bahā.ī jaa.e

    aajiz haiñ apne tāla-e-bedār se bahut

    har raat ham ko koī kahānī sunā.ī jaa.e

    sab kuchh badal gayā hai magar log haiñ ba-zid

    mahtāb meñ sūrat-e-jānāñ dikhā.ī jaa.e

    kuchh sāġharoñ meñ zahr hai kuchh meñ sharāb hai

    ye mas.ala hai tishnagī kis se bujhā.ī jaa.e

    shahroñ sarhadoñ pe hai sahrāoñ hujūm

    kyā mājrā hai aao ḳhabar to lagā.ī jaa.e

    nāzil ho jism o ruuh pe jab be-hisī qahr

    us vaqt dosto ye ġhazal gungunā.ī jaa.e

    aandhi ki zad mein sham-e-tamanna jalai jae

    jis tarah bhi ho laj junun ki bachai jae

    be-ab o be-giyah hai ye dil ka dasht bhi

    ek nahr aansuon ki yahan bhi bahai jae

    aajiz hain apne tala-e-bedar se bahut

    har raat hum ko koi kahani sunai jae

    sab kuchh badal gaya hai magar log hain ba-zid

    mahtab hi mein surat-e-jaanan dikhai jae

    kuchh sagharon mein zahr hai kuchh mein sharab hai

    ye masala hai tishnagi kis se bujhai jae

    shahron ki sarhadon pe hai sahraon ka hujum

    kya majra hai aao KHabar to lagai jae

    nazil ho jism o ruh pe jab be-hisi ka qahr

    us waqt dosto ye ghazal gungunai jae

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    aandhi ki zad mein sham-e-tamanna jalai jae Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now