aandhiyon ke sath kya manzar suhane aae hain
āñdhiy.oñ ke saath kyā manzar suhāne aa.e haiñ
aaj maidānoñ meñ bāġhoñ ke ḳhazāne aa.e haiñ
ab mire talvoñ ke nīche kī zamīñ āzād hai
āsmānoñ se mujhe bādal bulāne aa.e haiñ
ret se dariyā aTe haiñ ḳhaak se jhīleñ paTīñ
ye parinde ḳhuun meñ shāyad nahāne aa.e haiñ
ḳhvāb jis dil meñ rahā karte the kab kā mar chukā
kis kā darvāza ye bachche khaTkhaTāne aa.e haiñ
in meñ raushan haiñ abhī tak tere bosoñ ke charāg
is liye ham apnī āñkheñ ḳhud bichhāne aa.e haiñ
girtī dīvāroñ se lag kar dīmakoñ ke qāfile
kuchh sahīfe apnī āñkhoñ se lagāne aa.e haiñ
aaj ham sab ek behtar zindagī kī dauḌ meñ
kaise kaise ḳhvāb qabroñ meñ sulāne aa.e haiñ
bārhā is ghar kā baTvārā huā hai aur sadā
apne hisse meñ faqat dukh ke ḳhazāne aa.e haiñ
chaar dushman aa mile haiñ raat kī chhat ke tale
muddatoñ ke baad phir agle zamāne aa.e haiñ
aandhiyon ke sath kya manzar suhane aae hain
aaj maidanon mein baghon ke KHazane aae hain
ab mere talwon ke niche ki zamin aazad hai
aasmanon se mujhe baadal bulane aae hain
ret se dariya aTe hain KHak se jhilen paTin
ye parinde KHun mein shayad nahane aae hain
KHwab jis dil mein raha karte the kab ka mar chuka
kis ka darwaza ye bachche khaTkhaTane aae hain
in mein raushan hain abhi tak tere boson ke charag
is liye hum apni aankhen KHud bichhane aae hain
girti diwaron se lag kar dimakon ke qafile
kuchh sahife apni aankhon se lagane aae hain
aaj hum sab ek behtar zindagi ki dauD mein
kaise kaise KHwab qabron mein sulane aae hain
barha is ghar ka baTwara hua hai aur sada
apne hisse mein faqat dukh ke KHazane aae hain
chaar dushman aa mile hain raat ki chhat ke tale
muddaton ke baad phir agle zamane aae hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.