aane wale hadson ke KHauf se sahme hue
aane vaale hādsoñ ke ḳhauf se sahme hue
log phirte haiñ ki jaise ḳhvāb hoñ TuuTe hue
sub.h dekhā to na thā kuchh paas uljhan ke sivā
raat ham baiThe rahe kis soch meñ Duube hue
apne dukh meñ Duub kar vus.at milī kaisī hamīñ
haiñ zamīñ se āsmāñ tak ham hī ham phaile hue
aaj ā.īne meñ ḳhud ko dekh kar yaad aa gayā
ek muddat ho ga.ī jis shaḳhs ko dekhe hue
jism kī dīvār gir jaa.e to kuchh ehsās ho
apne andar ham paḌe haiñ kis qadar simTe hue
kis se pūchheñ rāt-bhar apne bhaTakne kā sabab
sab yahāñ milte haiñ jaise niiñd meñ jaage hue
is nagar ke jagmagāte rāstoñ par ghuum kar
ham chale aa.e ġhamoñ kī dhuul meñ lipTe hue
jin ko ai 'āzād' baḳhshī thī mahak ham ne kabhī
ab vahī raste hamāre vāste kāñTe hue
aane wale hadson ke KHauf se sahme hue
log phirte hain ki jaise KHwab hon TuTe hue
subh dekha to na tha kuchh pas uljhan ke siwa
raat hum baiThe rahe kis soch mein Dube hue
apne dukh mein Dub kar wusat mili kaisi hamin
hain zamin se aasman tak hum hi hum phaile hue
aaj aaine mein KHud ko dekh kar yaad aa gaya
ek muddat ho gai jis shaKHs ko dekhe hue
jism ki diwar gir jae to kuchh ehsas ho
apne andar hum paDe hain kis qadar simTe hue
kis se puchhen raat-bhar apne bhaTakne ka sabab
sab yahan milte hain jaise nind mein jage hue
is nagar ke jagmagate raston par ghum kar
hum chale aae ghamon ki dhul mein lipTe hue
jin ko ai 'azad' baKHshi thi mahak hum ne kabhi
ab wahi raste hamare waste kanTe hue
- Book : Dasht-e-Sada (Pg. 27)
- Author : Azad Gulati
- Publication : Friends Book Emporium, Nabh, Punjab (1975)
- Edition : 1976
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.