aangan tamam nim ke patton se bhar gaya
āñgan tamām niim ke pattoñ se bhar gayā
jhoñkā havā kā peḌ ko vīrān kar gayā
chehra thā koī jis ne pareshāñ rakhā mujhe
lamha thā koī jis ke liye dar-ba-dar gayā
hadd-e-nigāh tak ye kaḌī dhuup aur aaj
bādal kā sā.ebān bhī jaane kidhar gayā
yā lafz lafz bhūlnā us kā muhāl thā
yā harf harf zahr se mere utar gayā
kis tarh se kaTegī safar kī siyāh raat
'sarvat' isī ḳhayāl meñ din bhī guzar gayā
aangan tamam nim ke patton se bhar gaya
jhonka hawa ka peD ko viran kar gaya
chehra tha koi jis ne pareshan rakha mujhe
lamha tha koi jis ke liye dar-ba-dar gaya
hadd-e-nigah tak ye kaDi dhup aur aaj
baadal ka saeban bhi jaane kidhar gaya
ya lafz lafz bhulna us ka muhaal tha
ya harf harf zahr se mere utar gaya
kis tarh se kaTegi safar ki siyah raat
'sarwat' isi KHayal mein din bhi guzar gaya
- Book : Mitti Ki Sundarta Dekho (Pg. 81)
- Author : Sarvat Husain
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.