aankh se kaise kahun ab bhi andhera dekhe
aañkh se kaise kahūñ ab bhī añdherā dekhe
muddateñ biit ga.iiñ dhuup kā jalva dekhe
do gilāsoñ meñ samundar to nahīñ aa saktā
ye nazar tujh ko agar dekhe to kitnā dekhe
ghuum kar dekh liyā saarā zamāna maiñ ne
ab to bantā hai mujhe saarā zamāna dekhe
aise paḌhtā huuñ qasīde tirī rā'nā.ī ke
hai jo mahrūm-e-nazar vo bhī sarāpā dekhe
jā rahā thā vo mujhe chhoḌ ke aise us din
maiñ ne bhī chāhā nahīñ muḌ ke dubāra dekhe
us ke jaane pe ḳhushī bhī thī mujhe fikr bhī thī
jaise maañ madrase jaatā huā bachcha dekhe
bahut itrātā hai āzādī pe apnī koī
us se kahnā kabhī aa kar mirā piñjra dekhe
aankh se kaise kahun ab bhi andhera dekhe
muddaten bit gain dhup ka jalwa dekhe
do gilason mein samundar to nahin aa sakta
ye nazar tujh ko agar dekhe to kitna dekhe
ghum kar dekh liya sara zamana main ne
ab to banta hai mujhe sara zamana dekhe
aise paDhta hun qaside teri ra'nai ke
hai jo mahrum-e-nazar wo bhi sarapa dekhe
ja raha tha wo mujhe chhoD ke aise us din
main ne bhi chaha nahin muD ke dubara dekhe
us ke jaane pe KHushi bhi thi mujhe fikr bhi thi
jaise man madrase jata hua bachcha dekhe
bahut itraata hai aazadi pe apni koi
us se kahna kabhi aa kar mera pinjra dekhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.