Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aankhen asir-e-KHwab thin KHwab ek hi se the

Khalid Mahmood Zaki

aankhen asir-e-KHwab thin KHwab ek hi se the

Khalid Mahmood Zaki

āñkheñ asīr-e-ḳhvāb thiiñ ḳhvāb ek se the

har ek jaañ pe ab ke azaab ek se the

rāh-e-vafā-e-shauq meñ vāmāñdgī ke ba.ad

jo bhī mile the ḳhār-e-gulāb ek se the

bainassutūr un ke ma.ānī judā na the

jitne bhī muḳhtalif the nisāb ek se the

vo to kahīñ nahīñ the jinheñ DhūñDhtā thā maiñ

jo rah ga.e the zer-e-naqāb ek se the

kis kis se aur pūchhte us shahr patā

vo jo hameñ mile the javāb ek se the

barse to vo bhī pyaas shiddat baḌhā ga.e

mere liye to saare sahāb ek se the

aankhen asir-e-KHwab thin KHwab ek hi se the

har ek jaan pe ab ke azab ek hi se the

rah-e-wafa-e-shauq mein wamandgi ke baad

jo bhi mile the KHar-e-gulab ek hi se the

bainassutur un ke maani juda na the

jitne bhi muKHtalif the nisab ek hi se the

wo to kahin nahin the jinhen DhunDhta tha main

jo rah gae the zer-e-naqab ek hi se the

kis kis se aur puchhte us shahr ka pata

wo jo hamein mile the jawab ek hi se the

barse to wo bhi pyas ki shiddat baDha gae

mere liye to sare sahab ek hi se the

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now