aankhen bujhi-bujhi si dil-e-laKHt-laKHt dekh
āñkheñ bujhī-bujhī sī dil-e-laḳht-laḳht dekh
ḳhvāboñ ne mere khaa.ī kahāñ par shikast dekh
kuchh der baiTh apnī sunā merā haal pūchh
yuuñ bār-bār apnī ghaḌī meñ na vaqt dekh
sūraj lahū kī jhiil meñ phir ġharq ho gayā
phir aa.ī shaam mere liye ḳhūñ-ba-dast dekh
ḳhvāboñ ke barf-zār meñ tujh ko milegā kyā
sar phoḌnā hī hai to koī sang-e-saḳht dekh
phir gāgaroñ kī thaap pe uḌne lage haiñ giit
jhūloñ se haiñ saje hue saare daraḳht dekh
dushman kī bad-kalāmī pe kyoñ barhamī bhalā
laḌte samay thā terā bhī lahja karaḳht dekh
haiñ merī ḳhvāhishāt talabgār jism kī
tū hai mujassama to koī but-parast dekh
aankhen bujhi-bujhi si dil-e-laKHt-laKHt dekh
KHwabon ne mere khai kahan par shikast dekh
kuchh der baiTh apni suna mera haal puchh
yun bar-bar apni ghaDi mein na waqt dekh
suraj lahu ki jhil mein phir gharq ho gaya
phir aai sham mere liye KHun-ba-dast dekh
KHwabon ke barf-zar mein tujh ko milega kya
sar phoDna hi hai to koi sang-e-saKHt dekh
phir gagaron ki thap pe uDne lage hain git
jhulon se hain saje hue sare daraKHt dekh
dushman ki bad-kalami pe kyon barhami bhala
laDte samay tha tera bhi lahja karaKHt dekh
hain meri KHwahishat talabgar jism ki
tu hai mujassama to koi but-parast dekh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.