Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aao hum tum ishq ke izhaar ki baaten karen

Qaisar Siddiqi

aao hum tum ishq ke izhaar ki baaten karen

Qaisar Siddiqi

MORE BYQaisar Siddiqi

    aao ham tum ishq ke iz.hār bāteñ kareñ

    Daal kar bāñhoñ meñ bāheñ pyaar bāteñ kareñ

    phuul bāteñ kareñ gulzār bāteñ kareñ

    pyaar bāteñ kareñ bas pyaar bāteñ kareñ

    baat ham donoñ ko ye to sochnī chāhiye

    pyaar ke mausam meñ kyuuñ takrār bāteñ kareñ

    is se achchhī baat koī aur ho saktī nahīñ

    yaar afsāna chheḌeñ yaar bāteñ kareñ

    kaash bachpan luuT aa.e aur ham sab baiTh kar

    kachchī miTTī ke dar-o-dīvār bāteñ kareñ

    shukriya bazāriyat raushnī shukriya

    gaañv pagDañDiyāñ bāzār bāteñ kareñ

    ka.aba-o-kāshī ke qisse ho chuke ab bas karo

    aao 'qaisar' naqsh-e-pā-e-yār bāteñ kareñ

    aao hum tum ishq ke izhaar ki baaten karen

    Dal kar banhon mein bahen pyar ki baaten karen

    phul ki baaten karen gulzar ki baaten karen

    pyar ki baaten karen bas pyar ki baaten karen

    baat hum donon ko ye to sochni hi chahiye

    pyar ke mausam mein kyun takrar ki baaten karen

    is se achchhi baat koi aur ho sakti nahin

    yar ka afsana chheDen yar ki baaten karen

    kash bachpan luT aae aur hum sab baiTh kar

    kachchi miTTi ke dar-o-diwar ki baaten karen

    shukriya bazariyat ki raushni ka shukriya

    ganw ki pagDanDiyan bazar ki baaten karen

    kaba-o-kashi ke qisse ho chuke ab bas karo

    aao 'qaisar' naqsh-e-pa-e-yar ki baaten karen

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now