aap hi apna main dushman ho gaya

Wajd Chughtai

aap hi apna main dushman ho gaya

Wajd Chughtai

MORE BYWajd Chughtai

  aap apnā maiñ dushman ho gayā

  tap gayā sonā to kundan ho gayā

  aur nikhrā sub.h-e-kāzib suhāg

  ḳhatm jab tāroñ īñdhan ho gayā

  kis se pūchhūñ kho ga.ī siitā kahāñ

  ban har saaya rāvan ho gayā

  jab dar-o-dīvār chamkā.e ga.e

  ghar ghar un darpan ho gayā

  bad-nasībī qāfile dekhiye

  jo banā rahbar vo rahzan ho gayā

  vo nahīñ to un har lamha ḳhayāl

  har-nafas par ek uljhan ho gayā

  māñgte phirte haiñ gul ḳhāroñ se chhāñv

  kyā se kyā dastūr-e-gulshan ho gayā

  phir na bichhḌe is tarah se mil ga.e

  jaise do sāyoñ bandhan ho gayā

  be-ḳhayālī meñ yūñhī phailā thā haath

  jab chhuā tum ne to dāman ho gayā

  jaane kyuuñ gum ho ga.ī barkhā dhuup

  ruḳh mirā jab sū-e-chilman ho gayā

  aap hi apna main dushman ho gaya

  tap gaya sona to kundan ho gaya

  aur nikhra subh-e-kazib ka suhag

  KHatm jab taron ka indhan ho gaya

  kis se puchhun kho gai sita kahan

  ban ka har saya hi rawan ho gaya

  jab dar-o-diwar chamkae gae

  ghar ka ghar hi un ka darpan ho gaya

  bad-nasibi qafile ki dekhiye

  jo bana rahbar wo rahzan ho gaya

  wo nahin to un ka har lamha KHayal

  har-nafas par ek uljhan ho gaya

  mangte phirte hain gul KHaron se chhanw

  kya se kya dastur-e-gulshan ho gaya

  phir na bichhDe is tarah se mil gae

  jaise do sayon ka bandhan ho gaya

  be-KHayali mein yunhi phaila tha hath

  jab chhua tum ne to daman ho gaya

  jaane kyun gum ho gai barkha ki dhup

  ruKH mera jab su-e-chilman ho gaya

  0
  COMMENTS
  VIEW COMMENTS

  Additional information available

  Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

  OKAY

  About this sher

  Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

  Close

  rare Unpublished content

  This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

  OKAY