aapne kaisi ibtida kar di
aap ne kaisī ibtidā kar dī
jism se jaan hī judā kar dī
toḌ kar dil ko mere kahte haiñ
ham ne shāyad koī ḳhatā kar dī
un ke lutf-o-karam ko kyā samjhūñ
jin ke zulmoñ ne intihā kar dī
maiñ ne tanhā.ī meñ bahut sochā
zindagī kyā thī tum ne kyā kar dī
ham to dīvāne the magar 'sāgar'
aap ne bhī to intihā kar dī
aap ne kaisi ibtida kar di
jism se jaan hi juda kar di
toD kar dil ko mere kahte hain
hum ne shayad koi KHata kar di
un ke lutf-o-karam ko kya samjhun
jin ke zulmon ne intiha kar di
main ne tanhai mein bahut socha
zindagi kya thi tum ne kya kar di
hum to diwane the magar 'sagar'
aap ne bhi to intiha kar di
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.