aashiq ke dil mein aur teri aarzu na ho
āshiq ke dil meñ aur tirī aarzū na ho
is baaġh kā tū phuul ho phir is meñ bū na ho
ai dard-e-ishq ḳhāna-e-dil ghar tirā sahī
ābād ye makān to jab ho ki tū na ho
maiñ rang dekh kar na karūñgā yaqīñ kabhī
jab tak adū ke ḳhuun kī ḳhanjar meñ bū na ho
chāk-e-dil-e-raqīb kī jab fikr kījiye
pahle ye dekh lījiye pahlā rafū na ho
is fikr meñ kuchh un se na ham baat kar sake
ye guftugū na ho kahīñ vo guftugū na ho
mujh ko janāb-e-shaiḳh kī dāvat zarūr hai
aisī kahīñ sharāb mile jis meñ bū na ho
miTTī kī mūrat is se to ai 'dāġh' ḳhuub hai
ma.ashūq kyā jo shoḳh na ho ḳhush-gulū na ho
aashiq ke dil mein aur teri aarzu na ho
is bagh ka tu phul ho phir is mein bu na ho
ai dard-e-ishq KHana-e-dil ghar tera sahi
aabaad ye makan to jab ho ki tu na ho
main rang dekh kar na karunga yaqin kabhi
jab tak adu ke KHun ki KHanjar mein bu na ho
chaak-e-dil-e-raqib ki jab fikr kijiye
pahle ye dekh lijiye pahla rafu na ho
is fikr mein kuchh un se na hum baat kar sake
ye guftugu na ho kahin wo guftugu na ho
mujh ko janab-e-shaiKH ki dawat zarur hai
aisi kahin sharab mile jis mein bu na ho
miTTi ki murat is se to ai 'dagh' KHub hai
mashuq kya jo shoKH na ho KHush-gulu na ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.