Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aashna koi ba-wafa na mila

Imdad Ali Bahr

aashna koi ba-wafa na mila

Imdad Ali Bahr

MORE BYImdad Ali Bahr

    āshnā koī bā-vafā na milā

    kashti-e-dil nāḳhudā na milā

    jā-e-marham namak chhīḌaknā thā

    zaḳhm khāne kuchh mazā na milā

    us ke kūche meñ aise bhūle ham

    ghar ke jaane rāsta na milā

    dil diyā jis ko rañj hai paayā

    koī dildār bā-vafā na milā

    zindagī talḳh ho ga.ī apnī

    tujh se milne kuchh mazā na milā

    dekh ham ne dostī terī

    ham se ab aañkh bevafā na milā

    kuchh ijāra nahīñ bane na bane

    kyā shikāyat hai dil milā na milā

    āsmāñ par dimāġh-e-yār rahā

    kabhī jhuk kar vo mah-laqā na milā

    bosa-e-lab tum se kyā ummīd

    ek biiḌā bhī paan na milā

    DhūñDhtī haiñ kunisht meñ kar

    shaiḳh ka.abe meñ to ḳhudā na milā

    ek ik ko pilā.e do do jaam

    dard bhī ham ko sāqiyā na milā

    naqal kab asl muqābil hai

    us ke chehre se aa banā na milā

    nazar aa.ī jo vo dahan to kahūñ

    mujh ko anqā āshiyāna milā

    jin ko takiya thā apnī masnad par

    un ko dekhā ki boriyā na milā

    'bahr' nikle the DhūñDhne us ko

    aise kho.e ga.e patā na milā

    aashna koi ba-wafa na mila

    kashti-e-dil ka naKHuda na mila

    ja-e-marham namak chhiDakna tha

    zaKHm khane ka kuchh maza na mila

    us ke kuche mein aise bhule hum

    ghar ke jaane ka rasta na mila

    dil diya jis ko ranj hai paya

    koi dildar ba-wafa na mila

    zindagi talKH ho gai apni

    tujh se milne ka kuchh maza na mila

    dekh li hum ne dosti teri

    hum se ab aankh bewafa na mila

    kuchh ijara nahin bane na bane

    kya shikayat hai dil mila na mila

    aasman par dimagh-e-yar raha

    kabhi jhuk kar wo mah-laqa na mila

    bosa-e-lab ki tum se kya ummid

    ek biDa bhi pan ka na mila

    DhunDhti hain kunisht mein ja kar

    shaiKH kabe mein to KHuda na mila

    ek ek ko pilae do do jam

    dard bhi hum ko saqiya na mila

    naqal kab asl ki muqabil hai

    us ke chehre se aa bana na mila

    nazar aai jo wo dahan to kahun

    mujh ko anqa ka aashiyana mila

    jin ko takiya tha apni masnad par

    un ko dekha ki boriya na mila

    'bahr' nikle the DhunDhne us ko

    aise khoe gae pata na mila

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now