aasman-e-KHwab ki rangin-bayani ja chuki
āsmān-e-ḳhvāb kī rangīñ-bayānī jā chukī
dosto dil thaam lenā shādmānī jā chukī
ab kahāñ dād-o-dahish kī vo tamanna ḳhushbuo
mausam-e-be-rang tak ik ik kahānī jā chukī
gumbad-e-be-dar kī āñkhoñ meñ bhī aañsū aa ga.e
duur tak shāyad hamārī nauha-ḳhvānī jā chukī
ḳhud se milnā to hamesha hī rahā āzār-e-jāñ
tum se milne kī bhī ḳhvāhish yār-e-jānī jā chukī
āsmāñ se sang-reze aa rahe haiñ sar pe kyoñ
us jahāñ se kyā hamārī mehmānī jā chukī
ab kahāñ hañste haiñ chehre ab kahāñ khilte haiñ phuul
merī āñkhoñ meñ jo thī us kī nishānī jā chukī
aasman-e-KHwab ki rangin-bayani ja chuki
dosto dil tham lena shadmani ja chuki
ab kahan dad-o-dahish ki wo tamanna KHushbuo
mausam-e-be-rang tak ek ek kahani ja chuki
gumbad-e-be-dar ki aankhon mein bhi aansu aa gae
dur tak shayad hamari nauha-KHwani ja chuki
KHud se milna to hamesha hi raha aazar-e-jaan
tum se milne ki bhi KHwahish yar-e-jaani ja chuki
aasman se sang-reze aa rahe hain sar pe kyon
us jahan se kya hamari mehmani ja chuki
ab kahan hanste hain chehre ab kahan khilte hain phul
meri aankhon mein jo thi us ki nishani ja chuki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.