aastin mein jo basne wale the
āstīñ meñ jo basne vaale the
kyā ḳhabar thī ki Dasne vaale the
tanz-āmez muskurāhaT meñ
mujh pe apne hī hañsne vaale the
dil-farebī ne ham ko luuTā hai
ham kahāñ yuuñ hī phañsne vaale the
us kī chāhat na mil sakī ham ko
'umr bhar ham tarasne vaale the
mere dil ne panāh dī varna
vo kahāñ aur basne vaale the
ham du'ā.eñ agar nahīñ karte
tum pe patthar barasne vaale the
'ishq meñ ham ubhar ga.e 'irfāñ'
ye gumāñ thā ki dhañsne vaale the
aastin mein jo basne wale the
kya KHabar thi ki Dasne wale the
tanz-amez muskurahaT mein
mujh pe apne hi hansne wale the
dil-farebi ne hum ko luTa hai
hum kahan yun hi phansne wale the
us ki chahat na mil saki hum ko
'umr bhar hum tarasne wale the
mere dil ne panah di warna
wo kahan aur basne wale the
hum du'aen agar nahin karte
tum pe patthar barasne wale the
'ishq mein hum ubhar gae 'irfan'
ye guman tha ki dhansne wale the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.