Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aata hai nazar anjam ki saqi raat guzarne wali hai

Zulfiqar Ali Bukhari

aata hai nazar anjam ki saqi raat guzarne wali hai

Zulfiqar Ali Bukhari

MORE BYZulfiqar Ali Bukhari

    aatā hai nazar anjām ki saaqī raat guzarne vaalī hai

    baaqī hai ḳhudā naam ki saaqī raat guzarne vaalī hai

    ḳhurshīd ko jaam se sharmā.eñge shaam ko terā va.ada thā

    īfā-e-ahd-e-shām ki saaqī raat guzarne vaalī hai

    ham kitnī piine vaale haiñ tum kitnī pilāne vaale ho

    ye raaz hai tasht-az-bām ki saaqī raat guzarne vaalī hai

    ai rindo haath pe haath dhare kyā saaqī muñh takte ho

    mahfil meñ mache kohrām ki saaqī raat guzarne vaalī hai

    ye raah par aa jā.egā zāhid se māyūs na ho

    uTh le ke ḳhudā naam ki saaqī raat guzarne vaalī hai

    ye barham hone vaalī mahfil yuuñ bhī barham ho jaatī

    ham kah ke hue badnām ki saaqī raat guzarne vaalī hai

    ab koī nahīñ sannāTā hai tāroñ āñkheñ jhapkī haiñ

    chal saath mire do-gām ki saaqī raat guzarne vaalī hai

    aata hai nazar anjam ki saqi raat guzarne wali hai

    baqi hai KHuda ka nam ki saqi raat guzarne wali hai

    KHurshid ko jam se sharmaenge sham ko tera wada tha

    ifa-e-ahd-e-sham ki saqi raat guzarne wali hai

    hum kitni pine wale hain tum kitni pilane wale ho

    ye raaz hai tasht-az-baam ki saqi raat guzarne wali hai

    ai rindo hath pe hath dhare kya saqi ka munh takte ho

    mahfil mein mache kohram ki saqi raat guzarne wali hai

    ye rah par aa hi jaega tu zahid se mayus na ho

    uTh le ke KHuda ka nam ki saqi raat guzarne wali hai

    ye barham hone wali mahfil yun bhi barham ho jati

    hum kah ke hue badnam ki saqi raat guzarne wali hai

    ab koi nahin sannaTa hai taron ki aankhen jhapki hain

    chal sath mere do-gam ki saqi raat guzarne wali hai

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Zulfiqar Ali Bukhari

    Zulfiqar Ali Bukhari

    Source:

    Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab (Pg. 85)

      • Edition: 1993
      • Publisher: Anjuman-e-Rooh-e-Adab, Allahabad
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now