aate hain aur taswir ho jate hain KHwab
aate haiñ aur tasvīr ho jaate haiñ ḳhvāb
ḳhvāboñ meñ hī tā'bīr ho jaate haiñ ḳhvāb
khilte haiñ āñkhoñ meñ gulāboñ kī tarah
aur dil meñ jā kar tiir ho jaate haiñ ḳhvāb
is ḳhvāb ko āñkhoñ meñ hī Dhāñpe rakho
khulne se be-tauqīr ho jaate haiñ ḳhvāb
zanjīr kartā hai koī manzar mujhe
phir daf'atan zanjīr ho jaate haiñ ḳhvāb
is raah par duniyā kī is shahrāh par
ham se ka.ī dil-gīr ho jaate haiñ ḳhvāb
chaltā huuñ lekin niiñd ke narġhe meñ huuñ
likhtā nahīñ tahrīr ho jaate haiñ ḳhvāb
khultī haiñ jab āñkheñ to dikhtā kuchh nahīñ
sab 'āftāb' aur 'mīr' ho jaate haiñ ḳhvāb
aate hain aur taswir ho jate hain KHwab
KHwabon mein hi ta'bir ho jate hain KHwab
khilte hain aankhon mein gulabon ki tarah
aur dil mein ja kar tir ho jate hain KHwab
is KHwab ko aankhon mein hi Dhanpe rakho
khulne se be-tauqir ho jate hain KHwab
zanjir karta hai koi manzar mujhe
phir daf'atan zanjir ho jate hain KHwab
is rah par duniya ki is shahrah par
hum se kai dil-gir ho jate hain KHwab
chalta hun lekin nind ke narghe mein hun
likhta nahin tahrir ho jate hain KHwab
khulti hain jab aankhen to dikhta kuchh nahin
sab 'aftab' aur 'mir' ho jate hain KHwab
- Book : Mohabbat Jab Nahin Hogi (Pg. 72)
- Author : Aftab Husain
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.