Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aatish-e-bagh aise bhaDki hai ki jalti hai hawa

Imdad Ali Bahr

aatish-e-bagh aise bhaDki hai ki jalti hai hawa

Imdad Ali Bahr

MORE BYImdad Ali Bahr

    ātish-e-bāġh aise bhaḌkī hai ki jaltī hai havā

    kūcha-e-gul se dhuāñ ho kar nikaltī hai havā

    soz-e-vahshat meñ dhueñ shakl kāhish hai mujhe

    maiñ havā khātā nahīñ mujh ko nigaltī hai havā

    dam agar niklā badan se phir baḌī taskīn hai

    ḳhaak patthar ho ke jamtī hai jo Taltī hai havā

    giryae-e-ushshāq se kīchaḌ hai aise jā-ba-jā

    thaam kar dīvār-o-dar galiyoñ meñ chaltī hai havā

    jā-ba-jā mujh ko liye phirtī hai duniyā havas

    baiTh jaatā hai bagūlā jab nikaltī hai havā

    gulshan-e-ālam nairañgī se hotā hai yaqīñ

    phir shagūfa phūltā hai phir badaltī hai havā

    haiñ bhī aaheñ to muñh se bāhar aatā hai jigar

    zarre ko rauzan se aksar le nikaltī hai havā

    nāzukī meñ shāḳh-e-gul hai sarv-e-bālā yaar

    jhoñke letā hai jo āhista bhī chaltī hai havā

    ḳhaak uḌtī jo us ke paañv se gul-gasht meñ

    phūloñ ke muñh par bajā.e ġhāza maltī hai havā

    dekhiye chal kar zarā kaifiyyat-e-josh-e-bahār

    jhūmte haiñ peḌ gir gir kar sañbhaltī hai havā

    nā-rasā.ī dekhnā uḌtā hai jab merā ġhubār

    yaar ke koThe ke kānis se phisaltī hai havā

    garmiyoñ meñ sair gulzāroñ bhātī hai mujhe

    har qadam par pañkhiyā phūloñ jhaltī hai havā

    ḳhaar kahte haiñ uThā kar uñgliyāñ gul taraf

    phuul jaate haiñ vo kaisā jin ko phaltī hai havā

    sarv-e-qirtās-e-muqarriz huuñ maiñ is gulzār meñ

    ḳhaak meñ paanī milātā hai masaltī hai havā

    'bahr' pankhā haath se rakh do nihāyat zaar huuñ

    mauj-e-dariyā tarah mujh ko kuchaltī hai havā

    aatish-e-bagh aise bhaDki hai ki jalti hai hawa

    kucha-e-gul se dhuan ho kar nikalti hai hawa

    soz-e-wahshat mein dhuen ki shakl kahish hai mujhe

    main hawa khata nahin mujh ko nigalti hai hawa

    dam agar nikla badan se phir baDi taskin hai

    KHak patthar ho ke jamti hai jo Talti hai hawa

    giryae-e-ushshaq se kichaD hai aise ja-ba-ja

    tham kar diwar-o-dar galiyon mein chalti hai hawa

    ja-ba-ja mujh ko liye phirti hai duniya ki hawas

    baiTh jata hai bagula jab nikalti hai hawa

    gulshan-e-alam ki nairangi se hota hai yaqin

    phir shagufa phulta hai phir badalti hai hawa

    hain bhi aahen to munh se bahar aata hai jigar

    zarre ko rauzan se aksar le nikalti hai hawa

    nazuki mein shaKH-e-gul hai sarw-e-baala yar ka

    jhonke leta hai jo aahista bhi chalti hai hawa

    KHak uDti hi jo us ke panw se gul-gasht mein

    phulon ke munh par bajae ghaza malti hai hawa

    dekhiye chal kar zara kaifiyyat-e-josh-e-bahaar

    jhumte hain peD gir gir kar sanbhalti hai hawa

    na-rasai dekhna uDta hai jab mera ghubar

    yar ke koThe ke kanis se phisalti hai hawa

    garmiyon mein sair gulzaron ki bhati hai mujhe

    har qadam par pankhiya phulon ki jhalti hai hawa

    KHar kahte hain uTha kar ungliyan gul ki taraf

    phul jate hain wo kaisa jin ko phalti hai hawa

    sarw-e-qirtas-e-muqarriz hun main is gulzar mein

    KHak mein pani milata hai masalti hai hawa

    'bahr' pankha hath se rakh do nihayat zar hun

    mauj-e-dariya ki tarah mujh ko kuchalti hai hawa

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now