aawaz ki wasatat se raushni ko pahunchun
āvāz kī vasātat se raushnī ko pahuñchūñ
maiñ sochtā huuñ shāyad yuuñ shā'irī ko pahuñchūñ
us phuul ko nihārūñ aur der tak nihārūñ
shāyad isī bahāne maiñ tāzgī ko pahuñchūñ
kohsār se utarte jharnoñ kā haal hai vo
aise meñ sochtā huuñ maiñ kab nadī ko pahuñchūñ
āvārgī-e-kāmil ko ho gayā maiñ hāsil
ab jis bhī rāste se aa.uuñ tujhī ko pahuñchūñ
vo raah jis meñ koī manzil kabhī na aa.e
āvārgī maiñ kaise us gumrahī ko pahuñchūñ
asbāb raushnī ke gum ho ga.e haiñ 'sānī'
mumkin hai ab yahīñ se maiñ raushnī ko pahuñchūñ
aawaz ki wasatat se raushni ko pahunchun
main sochta hun shayad yun sha'iri ko pahunchun
us phul ko nihaarun aur der tak nihaarun
shayad isi bahane main tazgi ko pahunchun
kohsar se utarte jharnon ka haal hai wo
aise mein sochta hun main kab nadi ko pahunchun
aawargi-e-kaamil ko ho gaya main hasil
ab jis bhi raste se aaun tujhi ko pahunchun
wo rah jis mein koi manzil kabhi na aae
aawargi main kaise us gumrahi ko pahunchun
asbab raushni ke gum ho gae hain 'sani'
mumkin hai ab yahin se main raushni ko pahunchun
- Book : Maujood Ki Nisbat Se (Pg. 48)
- Author : Mahendra Kumar Sani
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.