aayat nahin chhoDi koi mantar nahin chhoDa
aayat nahīñ chhoḌī koī mantar nahīñ chhoḌā
par dukh kī havāoñ ne mirā ghar nahīñ chhoḌā
maiñ ḳhud hī chalā aayā sar-e-dasht-e-mohabbat
ye saañp kisī ne mire uupar nahīñ chhoḌā
baiThā huuñ har ik shaḳhs nikāle hue dil se
is phone meñ aaj ek bhī number nahīñ chhoḌā
kuchh apne sabab bhī maiñ zarā rah gayā pīchhe
kuchh tum ne bhī duniyā ke barābar nahīñ chhoḌā
mujh ko hī udāsī ne nahīñ ḳhushk kiyā hai
is dhuup ne koī bhī samundar nahīñ chhoḌā
bachpan se mire saath hai saa.e kī tarah 'mehr'
qarze ne mirā haath pakaḌ kar nahīñ chhoḌā
aayat nahin chhoDi koi mantar nahin chhoDa
par dukh ki hawaon ne mera ghar nahin chhoDa
main KHud hi chala aaya sar-e-dasht-e-mohabbat
ye sanp kisi ne mere upar nahin chhoDa
baiTha hun har ek shaKHs nikale hue dil se
is phone mein aaj ek bhi number nahin chhoDa
kuchh apne sabab bhi main zara rah gaya pichhe
kuchh tum ne bhi duniya ke barabar nahin chhoDa
mujh ko hi udasi ne nahin KHushk kiya hai
is dhup ne koi bhi samundar nahin chhoDa
bachpan se mere sath hai sae ki tarah 'mehr'
qarze ne mera hath pakaD kar nahin chhoDa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.