Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ab aae ho sada sun kar gajar ki

Naseem Dehlvi

ab aae ho sada sun kar gajar ki

Naseem Dehlvi

MORE BYNaseem Dehlvi

    ab aa.e ho sadā sun kar gajar

    kaho shab kahāñ tum ne basar

    sahar ko dafn kar ke jā.iyegā

    musībat aur hai ik rāt-bhar

    qafas meñ band karnā thā jo taqdīr

    nadāmat kyuuñ mujhe bāl-o-par

    guzar jā.egī jo guzregī ham par

    chalo raah lo tum apne ghar

    abhī jaan le le ai ġham-e-ishq

    musībat kaun uThā.e umr-bhar

    ḳhudā ke vāste yaaro sambhālo

    ki phir shiddat huī dard-e-jigar

    tarashshoh āñsuoñ ho rahā hai

    ghaTā umDī huī hai chashm-e-tar

    na boleñge tumhāre ḳhauf se ham

    hilā.eñge magar zanjīr dar

    na aanā tum ijāzat māñgne ko

    na dikhlānā hameñ sūrat safar

    koī dam bakheḌā rah gayā hai

    jigar tak barchhiyāñ pahuñcheñ nazar

    hameñ fassād muñh dekhnā hai

    uThānī hai musībat neshtar

    habāb-āsā hai lutf-e-zindagānī

    haqīqat kuchh nahīñ hotī bashar

    'nasīm' ab dil katāñ tarah hai chaak

    mohabbat meñ kisī rashk-e-qamar

    ab aae ho sada sun kar gajar ki

    kaho ji shab kahan tum ne basar ki

    sahar ko dafn kar ke jaiyega

    musibat aur hai ek raat-bhar ki

    qafas mein band karna tha jo taqdir

    nadamat kyun mujhe di baal-o-par ki

    guzar jaegi jo guzregi hum par

    chalo ji rah lo tum apne ghar ki

    abhi tu jaan le le ai gham-e-ishq

    musibat kaun uThae umr-bhar ki

    KHuda ke waste yaro sambhaalo

    ki phir shiddat hui dard-e-jigar ki

    tarashshoh aansuon ka ho raha hai

    ghaTa umDi hui hai chashm-e-tar ki

    na bolenge tumhaare KHauf se hum

    hilaenge magar zanjir dar ki

    na aana tum ijazat mangne ko

    na dikhlana hamein surat safar ki

    koi dam ka bakheDa rah gaya hai

    jigar tak barchhiyan pahunchen nazar ki

    hamein fassad ka munh dekhna hai

    uThani hai musibat neshtar ki

    habab-asa hai lutf-e-zindagani

    haqiqat kuchh nahin hoti bashar ki

    'nasim' ab dil katan ki tarah hai chaak

    mohabbat mein kisi rashk-e-qamar ki

    Source:

    Kulliyat-e-Naseem (Pg. 394)

    • Author: Naseem Dehlvi
      • Edition: 1966
      • Publisher: Syed Imtiyaz Ali Taj, Majlis-e-Taraqqi-e-Adab, Lahore
      • Year of Publication: 1966
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now