ab bhanwar hai ya kinara hai KHuda jaanta hai
ab bhañvar hai yā kinārā hai ḳhudā jāntā hai
bas mujhe terā sahārā hai ḳhudā jāntā hai
ye alag baat ki ḳhush-bāsh nazar aate haiñ
varna jo haal hamārā hai ḳhudā jāntā hai
apnī tanhā.iyoñ se Dar ke ka.ī baar tujhe
jis tarah maiñ ne pukārā hai ḳhudā jāntā hai
vo bhī is tark-e-ta'alluq pe hai ḳhush aur idhar
ham ne bhī bojh utārā hai ḳhudā jāntā hai
yā'nī ab din meñ bhī taare vo dikhātā hai mujhe
jo mirī aañkh kā taarā hai ḳhudā jāntā hai
vo palaT kar kabhī dekhegā mirī samt zarūr
mujh ko is vahm ne maarā hai ḳhudā jāntā hai
terā har dard sitam terī 'ināyat 'mānī'
terā har zaḳhm gavārā hai ḳhudā jāntā hai
ab bhanwar hai ya kinara hai KHuda jaanta hai
bas mujhe tera sahaara hai KHuda jaanta hai
ye alag baat ki KHush-bash nazar aate hain
warna jo haal hamara hai KHuda jaanta hai
apni tanhaiyon se Dar ke kai bar tujhe
jis tarah main ne pukara hai KHuda jaanta hai
wo bhi is tark-e-ta'alluq pe hai KHush aur idhar
hum ne bhi bojh utara hai KHuda jaanta hai
ya'ni ab din mein bhi tare wo dikhata hai mujhe
jo meri aankh ka tara hai KHuda jaanta hai
wo palaT kar kabhi dekhega meri samt zarur
mujh ko is wahm ne mara hai KHuda jaanta hai
tera har dard sitam teri 'inayat 'mani'
tera har zaKHm gawara hai KHuda jaanta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.