ab charaghon mein teri yaad jalata hua main
ab charāġhoñ meñ tirī yaad jalātā huā maiñ
hijr ko vasl kī tā'bīr banātā huā maiñ
ik udāsī ke jazīre pe chalā jaatā huuñ
ik tabassum ko kahīñ haath lagātā huā maiñ
rang-e-imkāñ kī ġhazab shakl meñ Dhal jaatā huuñ
apnī miTTī ke liye chaak ghumātā huā maiñ
hādse Tālne se kyoñ nahīñ Talte haiñ yahāñ
ḳhud se Takrā gayā huuñ aañkh bachātā huā maiñ
sab ko ik haath se ḳhairāt diye jaatā huuñ
dūsre haath meñ kashkol uThātā huā maiñ
ab charaghon mein teri yaad jalata hua main
hijr ko wasl ki ta'bir banata hua main
ek udasi ke jazire pe chala jata hun
ek tabassum ko kahin hath lagata hua main
rang-e-imkan ki ghazab shakl mein Dhal jata hun
apni miTTi ke liye chaak ghumata hua main
hadse Talne se kyon nahin Talte hain yahan
KHud se Takra gaya hun aankh bachata hua main
sab ko ek hath se KHairaat diye jata hun
dusre hath mein kashkol uThata hua main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.